Thursday, February 02, 2012

Bachpan Ke Din!!!

Yaad aate hain woh lamhe
Bachpan k woh din
Fitano (mischief) bhari woh muskuraahat
Ammi k lams (touch) ki haraarat (warmth)
Dilon mein bhadakti sharaarat
Aur fir..abbu k kadmon ki aahat..
Darr kar palang k neeche chup jaana
Aur aami ka abbu se hume bachaana..

Yaad karta hoon jab..un zard (old) tasveeron ko
Ho jaati hain aankhen nam
Bhiga deti hain zameeno ko
Dil aavez (pleasant) ho uth ti hai ruh
Arsaa-e-dahar (life time) jaise simta ho un tasveeron mein..

Najaane Kahaan gaye woh din!!!
Mazmoon-e-zindagi (essay of life) to ab
Ban k reh gayi hai ek band kitaab ka hissa
Fikr (thoughts) bhi mahaboos (captive) hai..
Najaane kis siyahiyon (darkness) bhare kone mein

Guzar jaata hai din
Guzar jaati hai do-peher
Shab (evening) bhi guzar jaati hai
Bas viraanee-e-lamhaat (emptiness or loneliness of moment) yahin tham jaati hai..

Lekin Bas!!!
Ab siyahiyon ki miyaad (duration or time) ke din thode hain
Laut aayenge woh din
Na koi aalam hoga..
Na koi khuff hoga
Aur na hi rahegi dil mein koi ehasaase-e-nidaamat (feeling of repentance or regret)
Tanhaii bhi maazoor (helpless) ho..dab k reh jaayegi yaadon mein..

Hoga to bas ek tabinda (glowing/enlightened) samaa
Jab vasl (union) hoga meri kaalib (body) aur ruh (soul) ka
Waqt ki dehliz (threshold) paar kar
Laut aayengi khushiyon ki ek sabaa(gentle cool breeze)

Haan!!laut aayenge woh din..
Hijr (seperation) ho kar maazi (past) se
Aur yaadon ko samet kar
Laut aayenge woh din..

Gardish-e-shaam-o-sahar (passage of time) ko paar kar
Aur waqt ko Shikast (defeat) de kar
Laut aayenge woh
"Bachpan k din..!!!!"
Creative Commons License
Except where otherwise noted to the Owner, ALL contents on this site is licensed under a Creative Commons Attribution-NonCommercial-NoDerivs 3.0 Unported License.